Template Information

Home » » Zameen uthaaon ga aur asmaan pe rakh don ga,

Zameen uthaaon ga aur asmaan pe rakh don ga,

zameen uthaon ga
Zameen uthaaon ga aur asmaan pe rakh don ga,
Jahan ki cheez hai ja ke wahan pe rakh doon ga,
Main ghar ke sath banaon ga aik choti dukan,
Phir apne khawb utha ke dukan pe rakh doon ga,
Mujhe dua pe zara bhi yaqeen nahin hai magar,
Jo tu kahe to diya aastaan pe rakh doon ga,
Yeh aag meri nahin hai jis ki hai utha lo mian,
Main sar-phiraa hoon na-jane kahan pe rakh doon ga..
Share this article :

Post a Comment