Template Information

Home » , » Yeh meri umar, mere maah-o-saal de us ko,

Yeh meri umar, mere maah-o-saal de us ko,

Noshi gilani poetry
Yeh meri umar, mere maah-o-saal de us ko,
Mere khuda mere dukh se nikaal de us ko,
Woh chup kharra hai keyi din se teri khatir to,
Kawaarr khol de azn-e-sawaal de us ko,
Azaab-e-badnazri ka jise shauur na ho,
Yeh meri aankhen, mere hadh-o-haal de us ko,
Yeh dekhna shab-e-hijraan ke kis ki dasstak hai,
Visaal rut hai agar woh, to ttaal de us ko,
Woh jis ka harf-e-duaa roshni hai mere liye,
Main bujh bhi jaaon to maula ujaal de us ko.
.
Share this article :

Post a Comment